Kya aapke sath kabhi aisa hua h ki aapne kisi syber cafe ya apne kisi friend ki mobile or computer me fb login kiya aur logout krna bgul gye ya fb chalate time mobile off ho gyi or computer shut down ho gya aur aap apna fb account logout nhi kr paye. to pareshan hone ki koi jarurat nhi
aap  apne ghar baithe apne mobile or computer se kisi dusre device me open huye facebook account ko logout kr sakte h .isake 2 method h ya to aap apna password change kre ya is post me diye gye setting ko fellow kre.

Step-1
Aap apne fb account ko login kijiye settings me jakr security pr click kre .


security page aapke desktop pr show karne lagega .ho sakta hai yah setting aapke mobile pr show na kre isliye ise computer me try kre.
  


Where you’re logged  in ke samne edit button pr click kijiye. Aapke samne ek window open hogi


Yha pr aap End Activity ki 3 button dekh sakte h agr aap chahte h  ki aapka fb account computer ho ya android ho ya windows phone ho sabse logout ho jaye to aap upar current session me End All Activity ki button dekh sakte h us par click krna h . click krne ke bad aapka account logout ho jayega aur aapko screen kuchh is tarah dikhayi degi.

 
Is page me close button pr click kre ab aapko chinta karne ki koi jarurat nhi hai aapka account logout ho gya hai.


  aap is post ke dusre screenshot me login alert ka option dekh sakte hai.yah facebook ka bahut hi powerful feature hai.is setting se hota ye h ki jb aapka facebook account kisi new web browser me open hoga to aapke mobile number aur email id pr notification se suchit kr diya jata hai.is setting ko save krne ke liye edit pr click kre.



  yaha aapko Notification aur Email ke 2 option milenge dono option ke pahle option ko trick karke save chnage ki button pr click kre.aapki setting save ho jayegi .ab jb aapka fb account new browser me open hoga notification aapke fb id aa jayega agr aapne fb id mobile number se bnaye hai to mobile number pr agr email id se fb id bnaye hai to email id pr notification aayega.