twitter bhi facebook aur linked in ki tarah ek free social networking site h jis pr aap account bnakar tweet kr sakta h or tweet ka reply de sakte h or kisi dusre user ko fellow bhi kr sakte h.tweet ko ham broadcast short posts bhi kahte h.
Twitter ko 21 march 2006 ko release kiya gya tha.twitter ke ceo Jack Dorsey hai.twitter ka headquater San Francisco,california,united state me hai.


kisi bhi user ke tweet ko dekhne ke liye use fellow krna padta h agr us user ke tweet dekhna chahte h jise aapne fellow nhi kya h to aap us tweet ko search krke bhi dekh sakte h.ek bat aur bta du aapko ki aap twitter pr ek tweet ke liye bs 140 character hi type kr sakte h.

Step-1
twitter account bnane ke liye apne browser ke address bar me type kre twitter.com jo page khulta hai  usme sign up button pr click kre .sign up form open hoga.





1.apna pura naam enter kre .
2.email id type kre .
3.password type kre.
ab sign up ki button pr click kre .
new window open hogi.



Step-2

is step me aapko apna phone number verify krana h.
apna valid phone number type krke verify phone number button pr click kre. aapke phone number pr ek code send hoga .

Step-3



code ko enter krke verify pr clik kre. username choose krne ka page open hoga.

Step-4
twitter account pr dubara login hone ke liye aap apna phone number or email id or username koi bhi use kr sakte h lekin password same rhega.



is step me aap apna username choose kre aur next ki button pr click kre .twitter pr kisi bhi member ko search krne ke liye ham username ka use krte h aur iske pahle @ add krte h.vaise to aap name se bhi search kr sakte h us name se jitne member ka twitter account hoga wo sabhi aapke screen pr show hone lagega .
agr aapka user name example2435 h to koi bhi user aapko aapke username se pahle @ lga kr @example2435 se search krega.
next ki button pr click krne ke bad ek new page open hoga .

Step-5



let's go pr click krke 2-4 step ko jaldi jaldi khatm krke aap apne twitter accont pr aa jayenge .
twitter ke home page pr jane ke liye yha pr click kre