aap internet browsing krte hai to ho sakta hai kisi webpage ka article aapko achcha lga ya us web page pr aapke study se related koi article h aur aap us article ko capure karke save krna chahte h. vaise to screenshot capture ke bahut se software aate h lekin wo utna hi capture kr sakte h
jitna aapke window pr show hota h lekin mai aapko ek aisa Add-ons btaunga jissae aap firefox me pure webpage ko capture kr sakte hai.
awesome ek aisa hi firefox ka add-ons h jisase aap pure webpage ka screenshot bhi le sakte hai aur use customize bhi kr sakte hai.aaiye awesome ko install karna sikh lete hai.

Step-1
sabse pahle apna firfox bowser open kre.aap browser ke right-up corner me 3 lines ka icon dekh sakte h us icon pr clik kre adds on ka option dikhega us pr click kre.
browser ke right side me menu kuchh is tarah dikhayi dega .
get add-ons ka option aap dekh sakte us par click kre.

Step-2
get add-ons ke samne search box dikhayi dega .is search box me type kre-awesome.



awesome type karne ke baad enter press kre.

Step-3


awesome adds on show hoga ab aapko install pr click karna h.kuchh kb ka yah add ons h install hone ke bad aapko kuchh nhi karna yah aapke browser me add ho jayega jo aap browser ke search box ke right side me dekh sakte h.

Step-4


is icon pr aap click krenge to aapko 2 option milega -
1.kya aap jitna aapke screen pr show ho rha h utna webpage capture karna chahte h or
2.pure webpage ko capture karna chahte h.
aap apne jarurat ke hisab se koi option choose kr le.

Step-5

yha pr aapko us capture kiye gye webpage ko customize karne ke liye option bhi milte hai.aap apne jarurat ke hisab se web page ko customize bhi kr sakte hai.