Cookies kya hoti h, cookies aur history kyo aur kaise delete karte hai. is article me ham isi topic pr discuss krne wale h .jb bhi aap browsing karte h chahe wo mobile browser ho ya computer browser usme aapki browsing history save ho jati.pure din aapne kitne link pr click kiya aur kaun kaun se link open kiya yha tk ki aapke password aur username bhi aapke cookies me save ho jata h.
agr aap public computer use kr rhe h to koi bhi aapke password aur link ko dekh sakta h aise me browsing history aur cookies delete karna jaruri ho jata h.mai aapko advise dena chahunga ki jb bhi aap kisi private computer ka use kre to private browsing mode active kr le ya phir browsing history or cookies ko delete kr le.
note-agr aap chahte h ki aapki browsing history aur cookies save na ho to aap private browsing kre. private browsing me aap bilkul safe rahte h.
aaiye sikhte h firefoox browser ki history aur cookies kaise delete karte h?

Step-1
sabse pahle apna firefox browser open kare .browser ke right-up corner me 3 line ka ek icon dekh sakte h us click kre.

popup window open hoga usame option pr click kre.

Step-2


1.aap browser ke left side me ek menu dekh sakte h .is menu me privacy pr click kre.
2.remove individual cookies pr click kre ek popup window open hoga.

Step-3


  1. yha pr aap click karke searck kr sakte h ki aap kis site ke coookies delete karna chahte h agr aap sabhi cookies ko delete karna chahte h to is box ko enpty rahne de.
  2. is buttton pr click karke aap selected cookies ko delete kr sakte h.
  3. agr aap sabhi cookies ko delete karna chahte h to is button pr click kr de.
  4. cookies remove karne ke bad close ki button pr click kre.
Step-4
ab aapne apne browser ki cookies ko delete kr diya h.
Browser ki history kaise delete kare ?
ab aap back jaye .aap is article ke 2nd picture ko dekh sakte h usame clear your recent history ka option h us par click kre.

browser history ka page openhoga.

Step-5



  1. yha pr aap ye select kr sakte h ki aap kitne time se kitne time tk history delete karna chahte h.
  2. yha pr aap select kr le ki history me aap kya kya delete krna chahte h.
  3. history delete karne ke liye clear now ki button pr click kre.
Is tarah aap apne firefox browser ki history aur cookies ko delete kr sakte h.