vaise mujhe facebook ke bare me jyada btane ki jarurat nhi h sabhi jante hai ki facebook kya hai.fb pr photo upload krna dosto se chatting karna to sabhi jante hai lekin facebook ki kuchh setting hoti hai jise shayad aap nhi jante ho lekin un sabhi setting ko aap tips10.in pr sikh sakte hai
lekin is post me ham fb name email aur password change karna sikhenge.yah aapke facebook security ke liye jaruri hota h ki aap time time pr apna fb password change karte rhe aur password aisa choose kre ki kisi dusre ko gess karna muskil ho. Vaise to is modern age me kaun aisa h jiske pass fb account n ho kyoki facebook world ki sabse badi social networking site ban chuki h .


Step-1
Sabse pahle apne fb account me login kijiye uske settings me jaiye.


aap right side me menu bar dekh skate hai.general setting ko select kre.



Step-2



  1. Agr aap fb name change karna chhate hai to pahle option pr click kre.fb name ke bare me ek bat mai aapko bta du ki aap bs apna fb name  4 bar hi change kr sakte h.agr aapne 4 bar fb name change kr liya h aur phir name change karna chahte hai to aap kr sakte hai lekin aap wahi name choose karenge jo aap pichhali 4 bar me choose kiya tha aapko new name enter karne ka fb allow nhi deta hai.aur agr aapne fb name change kiya hai aur phir dubara karna chahte hai to aapko 60 days wait karna hoga isase pahle aap nhi kr sakte ho.
  2. username ko change karne ke liye click kre.username fb ka bahut import part hota hai.isake bare me ham detail me sikhenge lekin next post me.
  3. email change karne ke liya yaha click kre.
  4. aapko apna fb password hamesha update karte rhna chahiye  apni privacy security ke liye.
Step-3
is post me ham password change karna hi sikhenge .agr aapne password change karna sikh liya to name aur email id bhi change kr lenge bahut jyada hard nhi nhi hai.
password change karne ke liye 4th option pr click kre.








  1. apna current password enter kre.
  2. jo new password aap choose karna chahte hai wo enter kre.
  3. new password ko retype kre
ab save change ki button pr click kre.ek popup window open hoga.



Step-4

ab is page me aapko 2 option milenge .agr aapko lagta hai ki aapka password koi aur janta hai ya aapne kisi dusre mob or device me bhi fb open kr rakha hai to aap pahle option ko trick krke continue ki button pr click kre .isase ye  hoga ki aap jitne bhi mob me fb open kr rakha hai sabhi logout ho jayenge . aur aapko apne new password se re login krna hoga .
agr ap log out nhi hoga chahte to dusre option pr click kre continue pr click kre.
aapka password change ho cukka hai.