Andriod phone jab new hoti h to isaki speed bahut fast hoti h lekin jaise jaise phone purana hota h iski speed bhi slow hoti jati h kabhi kabhi isaki speed jarurat se jyada slow ho jati  aise me aap mobile phone use krne me uncomfortable mahsus karte h.aapke moblie me antivirus h
aur aap apne phone ko bar bar scan karte h phir bhi isaki speed me koi improvement nhi ho rha h to aapko kuchh aur try karne ki jarurat h.

aapko apne andriod phone ki setting me bs kuchh changing karni h phir dekhenge ki aapke phone ki speed increase ho gyi h.

Step-1
sabse pahle apne phone ki setting ko open kre. setting me aapko about phone ka option milega about phone pr click kre.new page open hoga.


Step-2
about phone pr click krne ke bad jb scroll krenge to aapko build number ka option milega jo aap image me dekh sakte h .


build number ke option pr aapko kam kam se 7 se 8 bar click karna h .click karne se aapke phone ka devolapar on ho jayega .

Step-3
back jaye ab aap about phone ke thik upar aap developar ka option aap dekh sakte h.


Developer option pr click kre .niche scroll kre.aap 3 scale dekh sakte h.

Step-4 
aap mere phone ka scale screenshot me dekh sakte h.sabhi scale me animation scale 1x select kiya gya h.

aapko sabhi scale pr click karke animation scale .5x select karna h .aap animation scale ko off kr sakte h lekin isase aapke phone ka look achcha nhi lagega.bas aapka kaam ho jayega aap apne phone ki speed ko check kre jarur kuchh improvement payenge .