kabhi kabhi aisa hota h ki aapke mobile me koi important file or folder hota h aur aap nhi chahte ki ye private folder ko koi open kr paye to aap is file or folder ko hide kr sakte h.aap folder ko hide karke dusro ki najar se chhupa sakte h.isake liye aapko kisi third party tool ya aaps ko download karne ki koi jarurat nhi h .
aap apne mobile me hi  kuchh simple step follow karke  bahut hi aasani se kisi folder ya file ko hidden kr sakte h.
Is method se aap phone memory aur sd card kisi bhi file manager ki folder ko hidden kr sakte h.

Step-1
sabse pahle aap apne file manager ko open kre  .ab aap jis file or folder ko hidden karna chahte h use select kr le .maine apne mobile me torrent name ka ek folder ko hidden  kiya h .

aap screenshot me dekh sakte h maine ek torrent naam ka folder select kr liya h.

Step-2
aap apne mobile ke right -up side corner me 3 dot dekh sakte h aapko krna bs ye h ki is 3 dot pr click karke rename ko slect kre .aapko is folder ko rename krna h.



remane karte samay aapko is folder ke naam se pahle dot(.) lagana h.ab done pr click kr de .aap dekhenge ki aapka folder hidden ho gya h.agr isake bad bhi aapka folder hidden nhi hua h to 3 dot(.) pr click krke hide hidden files pr click kr dijiye aapka folder hide ho jayega.

Folder ko unhide kaise kre?
ab yha question ye h ki hide folder ko show kaise kre.folder ko show karne ke liye option or 3 dot button pr click kre usake bad show hidden file pr click kre.aapka folder show hone lahgega lekin aap dekhenge ki aapka folder highlight nhi ho rha h jaisa aap screenshot me dekh sakte h.

 pahle jaise karne ke liye is folder ko rename kre aur folder se pahle aapne jo dot (.) likha h use remove karke ok pr click kre. aap dekhenge ki aapka folder puri tarah show karne lagega .