facebook ek aisi social networking site h jiska aaj hr koi diwana h.agr koi new person internet chalana shuru krta h to sabse pahle uska dhyan facebook pr hi jata h aur wo sabse pahle fb account hi bnata h.kuchh log fb accont apne personal use k liye to kuchh log bussiness ke liye banate h.ham har roj aapke liye naye naye article laate rahte h .
is article me ham facebook username ki bat krenge .facebook username kya hota h ise kaise change karte h.
ham fb ke bare me jyada kuchh nhi bolenge ho sakta h aap mujhse jyada jante ho.aaj ham fb ke jis feature ki bat krenge wo h username .sabse pahle ye jaan lete h ki fb username kya hota h.


facebook username kya hota hai? 
jb aap apne fb account me login krte h to aapke browser ke address bar me jo character ya number show hota h wahi aapke fb account ka username hota h. jo kuchh is tarah hota h.

 
ye username aap change bhi kr sakte h lekin sawal yha ye h ki username change krne ke kya fayde h .
username change krne ke fayde.
  1. username change krne ka sabse achcha fayda yah hota h  ki agr aap bina fb id aur password enter kiye apne fb account me login kr sakteh.
  2. agr friends hamre profile ke bare search krna chahte h to wo username se search kr sakte h.
  3. fb username change krne se aapka fb profile google search me aane lagti h.
  4. yaad rakhne me v aasan hota h.
 username change kane ka tarika.

Step-1
sabse pahle aapna facebook account open kr le .


settings pr click kre.

Step-2 
setting page open hoga .general setting me jaye.


 aap username ka option dekhenge  usake samne edit button pr click kre. username expand ho jayega.
  1. apna username type kre.
  2. save change pr click kr de . 
ab aaapka username change ho gya hai .
niche pic me aap mera username dekh sakte ,change karne ke bad username kuchh is tarah dikhayi dega.


 
Important rules and condition for your facebook username-
  • aap aisa username choose nhi kr sakte jo kisi ne pahle se choose kiya ho.
  • aapka username jitna ho sake utna aapke real fb name ke close hona chahiye.
  • aap apne fb userneme ko bs ek bar hi change kr sakte h. isliye apna username pahle se soch le tabhi change kre.
  • username kam se kam 5 character ka hona chahiye.
  • username dot(.) or space ko count nhi karta h jaise pankaj.tracker34, pankaj.tracker.34, pankajtracker34 ye sabhi same username h.