Google goggles google ki ek free mobile app h.ya ham kah sakte h ki google goggles ek type ka camera h jo kisi image ko scan karke uska search result aapke web browser me deta h.google ne google goggles ki yah service 5 october 2010 me shuru ki thi.yah ek andriod app h jo bs 1.2 MB ka h.bahut hi majedar aur kaam ka app h student ho ya bussiness man sabhi ke mobile me yah app hona chahiye.

Google goggles use karne ke kya faide hai?
google search engine me ham keyword type karke result search karte h aur google now me ham voice se result search karte h usi tarah google goggles se ham kisi image ko scan karke result seach karte h.man lijiye aapke kisi friend ne aapko koi image send kiya ya internet pr aapko koi image achchi lagi to aap us image ke bare janna chahte h ki is image me kya h yah image kaha ki to ise google me search karne sa achcha h ki aap google goggle se is image ko scan kre google goggles is image se judi sabhi information ko aapke web browser me show karne lagega.
google goggles ki sabse achchi bat ye h ki image ke alava aap qr code ya bar code ko bhi scan kr sakte h aur sokodu puzzles ko bhi solve kr sakte h.
aaiye google goggles pr kisi result ko search karke samjh lete hai.

Step-1
sabse pahle google goggle ko play store se download kre aur download karne ke bad use open kre.
aap niche diye gaye image me focus kre.mai ek chemistry ki book h use scan kr rha hu aur dekhna chahta hu search result kya aata h.


  1. is button pr click karke aap kisi bhi image ko crop kr sakte h.
  2. aapko kisi bhi iamge ko scan karne ke liye is button pr click karna hoga .is button pr click karne ke bad aapke phone ka back camera on ho jayega aap jis bhi chij ko search karna chahte h use camera se scan kr le.
Step-2
scan karne ke bad screen kuchh is tarah dikhayi degi.

is image ke niche aap dekh sakte isase related link h us pr click kre .link aapke  web browser me open ho jayegi aur aap is image se related search result dekh sakte h.

Step-3
agr aapke mobile me koi image save h to use sacn kaise krenge.sabse pahle mai aapko ek screenshot dikha deta hu tb achche se samajh me aayega .


1.aap circle type ke button pr click kre.
2.Activate camera light ke option pr click krke aap camere ke flash ko on kr sakte h.
3.aap load image ka option dekh skate h us pr click krke apne phone image upload kre .google goggle us image ko scan krega aur scan krne ke bad image ke niche ek link aayegi us pr click karne ke bad us iamge se related result aapko mil jayenge.

click here to download google goggles from play store